Hamare Qabristan ki Hifazat Mein Madad Karein

Hamare Qabristan ki zameen par log sharab pi kar gandi harkatein kar rahe hain. Ye jagah pavitra hai, ise ganda hone se bachane ke liye hume ek majboot deewar (boundary) ki zaroorat hai.

Abhi Taaburat Karein
₹15,000 Lakshya: ₹2,00,000
45 Logon ne madad ki Jaldi zaruri hai

Qabristan ki Hifazat

Badtameezi rokne ke liye deewar.

Sadaqah Jariyah

Ye kaam ek sadaqah jariyah hai.

Surakshit Bhugtan

Razorpay ke saath 100% suraksha.

Madad Kyun Zaruri Hai?

⚠️ "Qabristan ki hifazat hamari zimmedari hai. Yahan log sharab pi kar aur gande kaam karke is pavitra jagah ko ganda kar rahe hain."

Humein ek majboot deewar banwani hogi taake koi bahar wala shakhs andar na aa sake.

Qabristan wo jagah hai jahan hamare buzurg aaram karte hain. Lekin kuch badtameez log raat ke waqt yahan aate hain, sharab peete hain aur is pavitra jagah ko ganda karte hain. Ye hamare liye bahut sharmnak baat hai.

Hum chahte hain ki is jagah ki izzat wapis aaye. Iske liye hume charon taraf se boundary wall (deewar) banwani hogi. Aapka diya hua paisa sirf cement, bricks aur mazdoori mein lagega.

  • Majboot Deewar (Boundary)
  • Gate ki Installation
  • Safai aur Hifazat